Thursday, April 19, 2012

Seekh

seekh gaya hai woh ab

ki bahot fark hota hai

kisi ka haath thaamne mein

aur kisi ki rooh ko baandh lene mein


samajh hi gaya hai woh ab

ki vaade aksar poore karne ke armaan se nahi kiye jaate

ki ummeedon par kitni aasaani se paani fir jaata hai


aaj ki haqiqat par raaste banana seekh gaya hai

ki aane waale kal par bune sapne to aksar toot jaate hain

ki beete hue kal ki to sacchai hi badal chuki hai


ki dhoop bhi zyada ho to jala deti hai

ki baarish bhi zyada ho to gala deti hai

ki chizen banti hi hain tootne ke liye

ki saath hote hi hain chhootne ke liye


woh meri pehchaan, mera astitva hai

aur der se hi sahi, ab woh seekh gaya hai

ki har woh vidai jo use rula jaati hai

har woh vidai use kucch sikha jaati hai…

Tuesday, April 10, 2012

Khwaab

Kabhi kabhi dukh is baat ka bhi hota hai
ki ab tumhari yaad palkon par koi harkat nahi karti
kya ab tumhare na hone ki aadat padne lagi hai
ya shayad ab palkein bhi thak gayi hain
shayad paani sookh gaya hai

kabhi kabhi dard is baat ka bhi hota hai
ki un palon ki soch ab chehre par muskaan nahi laati
kya ab un palon ki ehmiyat hi kam ho gayi hai
ya shayad ab woh sirf ek bhula bisra khwab ban ke reh gaye hain
jiski haqiqat hi ek dhundli si tasveer ki tarah hai
jispar kone mein rakhe rakhe dhool ki parat chadh gayi hai

kabhi kabhi vyathit is baat se bhi hota hun
ki kya kucch aur palon ki meri guhaar galat thi
kya thode se chain ki ummeed bhi najayaz thi
kya tumhe paane ki chahat hi bebuniyaad thi

jawaab sirf tum hi de sakte the, mujhe mila nahi
tumhe dosh dene ki bohot koshish ki maine
tumse nafrat karne ki, tumhe bhool jaane ki bhi koshish ki
but mujhse ho na saka
main khud ko bhi bhoolne laga
tumhare bina shayad main ab kisi kaam ka nahi raha...

Sunday, April 8, 2012

Imtehaan

ab to zindagi aisi lagne lagi hai
ki bina taiyari imtehaan mein baitha hun
intezaar hai ki kab ghanti baje aur main nikal jaoon
beech mein uthne ka khayal bhi aata hai kai baar
himmat agar juta bhi loon to tham jaata hun
ki kahin un ko bura na lag jaaye...

Friday, April 6, 2012

Vidambna

Ab to unke liye dua bhi nahi nikalti
shayad is andhere ne mujhe kathor bana diya hai
yeh kaisi kudrat hai ki kal tak jinki har khushi ka main hissa hota tha
aaj unhi ki muskurahat dekhkar ek jalan si hoti hai

Unse chupaane ki koshish karta hun
ki asliyat mein kitna kamzor ban gaya hun
yeh kaisi kismat hai ki kal tak jinki aankhon mein itni raatein guzar jaati thi
aaj unhi se nazren milane se darr jaata hun main

Sach kahun to ab unhe dekhkar dil baith sa jaata hai
yeh kaisi kudrat hai, kaisi bebasi hai
ki kal tak jinka haath thaamkar duniya jeet lene ka bharosa tha
aaj unhi ki ek jhalak bhar se sehem jaata hun main...

Tuesday, April 3, 2012

Aaj Woh Nahi Hain...

un palon ko main bhool jaana chahta hun
isliye nahi ki unki yaad mujhe dukh pahonchati hai
isliye ki unki yaad mujhe ek aise safar ki yaad dilati hai
jisme jab tak woh the, na manzil ki chinta thi, na raaste ka thikana
par yeh pata tha ki safar accha kat jayega

aaj woh nahi hain
aaj bhi manzil ki chinta nahi hai, na raaste ka thikana hi hai
aaj to safar mein chalne ki chah hi khatm ho gayi hai
aaj bas theher jaane ka mann hota hai
aaj woh nahi hain, aaj kucch nahi hai...

woh pal mujhe yaad dilate hain ki zindagi kya ho sakti thi
woh na hote to shayad mujhe ehsaas hi nahi ho pata
shayad main anjaana hi zyada khush rehta
shayad main shaam ki halki roushni mein hi waqt kaat leta
unhone dhoop dikhakar waapas le li
ab kaise andhere mein rahun, law hi bujh gayi hai
aaj woh nahi hain, aaj kucch nahi hai...

aisa nahi hai ki ab woh pehle se kam yaad aate hain
par pehle jahaan unki yaad ek meetha sa ehsaas tha
ab ek zakhm ki tarah hai, jo bhar nahi raha
main nahi jaanta ki yeh bharega ya nahi
main jaanta hun ki ek tees to hamesha rahegi
shayad unhone jo bhi kaha tha sab jhooth tha
shayad main hi andha ho gaya tha
roshni to ab bhi nahi hai
par pehle jahaan sab safed tha
aaj ghupp andhera hai
aaj woh nahi hain, aaj kucch nahi hai...

woh kehte hain maine bhoolne ki koshish nahi ki
woh kehte hain ki ab yahi nayi sachchai hai
sach to yeh hai ki unhe bhulane ki raah mein
main khud ko hi kho baitha hun
ab gumnaam, anjaan sa khada hun yahaan
log dekhkar, kucch pal ruk kar aage badh jaate hain
main unke saath bhi muskura leta hun
ki koi mere andar na jhaank le
ki koi us andhere ko na dekh le
ki koi pooch na le ki kya hua
kyunki main bata nahi paunga
aaj woh nahi hain, aaj kucch nahi hai...

Aansoon

Aansoon jab apne astitva ki talaash mein saath chhod dete hain aankhon ka
Main unse shikayat nahi rakhta
Ki is toote shareer se door hokar agar unhe accha lagta hai
To isme galat kya hai...

Monday, April 2, 2012

Bas yun hi

Unki yaad jab raat ko sone nahi deti
Hum to tab bhi khud ko hi dosh dete hain
Ki unhe bhoolna yaad na raha...