Tuesday, April 3, 2012

Aaj Woh Nahi Hain...

un palon ko main bhool jaana chahta hun
isliye nahi ki unki yaad mujhe dukh pahonchati hai
isliye ki unki yaad mujhe ek aise safar ki yaad dilati hai
jisme jab tak woh the, na manzil ki chinta thi, na raaste ka thikana
par yeh pata tha ki safar accha kat jayega

aaj woh nahi hain
aaj bhi manzil ki chinta nahi hai, na raaste ka thikana hi hai
aaj to safar mein chalne ki chah hi khatm ho gayi hai
aaj bas theher jaane ka mann hota hai
aaj woh nahi hain, aaj kucch nahi hai...

woh pal mujhe yaad dilate hain ki zindagi kya ho sakti thi
woh na hote to shayad mujhe ehsaas hi nahi ho pata
shayad main anjaana hi zyada khush rehta
shayad main shaam ki halki roushni mein hi waqt kaat leta
unhone dhoop dikhakar waapas le li
ab kaise andhere mein rahun, law hi bujh gayi hai
aaj woh nahi hain, aaj kucch nahi hai...

aisa nahi hai ki ab woh pehle se kam yaad aate hain
par pehle jahaan unki yaad ek meetha sa ehsaas tha
ab ek zakhm ki tarah hai, jo bhar nahi raha
main nahi jaanta ki yeh bharega ya nahi
main jaanta hun ki ek tees to hamesha rahegi
shayad unhone jo bhi kaha tha sab jhooth tha
shayad main hi andha ho gaya tha
roshni to ab bhi nahi hai
par pehle jahaan sab safed tha
aaj ghupp andhera hai
aaj woh nahi hain, aaj kucch nahi hai...

woh kehte hain maine bhoolne ki koshish nahi ki
woh kehte hain ki ab yahi nayi sachchai hai
sach to yeh hai ki unhe bhulane ki raah mein
main khud ko hi kho baitha hun
ab gumnaam, anjaan sa khada hun yahaan
log dekhkar, kucch pal ruk kar aage badh jaate hain
main unke saath bhi muskura leta hun
ki koi mere andar na jhaank le
ki koi us andhere ko na dekh le
ki koi pooch na le ki kya hua
kyunki main bata nahi paunga
aaj woh nahi hain, aaj kucch nahi hai...

3 comments:

Sandy said...

Kya hi likha hai bhai...
Jaan le liya tumne to...

The Artist said...

kaun hai woh jisne kiya tumhara yeh haal?
jiske yaadon mein zindagi hui behal?
apni dosti ko ho gayi nau dus saal,
phir bhi humse chupa kar rakha, tumhaari yeh majaal?

Shubham Saxena said...

Sandy, bhai teri jaan bahot keemti hai, itni aasaani se nahi li jayegi, time de, uska mauka bhi aayega :)

Vishal, there should be a rule prohibiting such good responses to ordinary posts :)